Saturday, April 30, 2011

VIDAATA NE AISI KALAM SE...


vidaata ne aisi kalam se 
meri kismat likhi 
jis mein siyai nahi thi.
mujhe bana ne wale ne 
is kader banaya ke 
uske paas waqt kam tha, 
isliye koi rang roop nahi diya.
rabh ji ki itni maherbaani thi
ki dil moom ka banaya.
pyaar aur mamta ka 
amrut sagar bhar diya.
waah re mere malik,
tera lakh karam mujh par.
hazaron kamiya sahi mujh mein par 
aurat bana kar maa ki murat bana diya..

Friday, April 29, 2011

DIL NE TUMKO YAAD KIYA...


DIL NE TUMKO YAAD KIYA.
NAYANO NE TERA INTEZAAR KIYA.
PER TUM PAAS HOKAR BI 
MERI AAWAZ NAA SUN SAKE.
BHUL SE MILNE KI KOSHISH KARTE..
APNE DIL KO MERE PAAS RAKTE.
TUMKO YEH SAB GAVARA NA THA.
KISI AUR KI TALAASH MEIN 
AAGAY NIKAL GAYE. 
AAJAO LAUT KE AAJAO HUM TUMSE
MILNE KO TARASTE HAIN.
HUM BI TUMSE PYAAR KARTE HAIN.

KITNA PYAAR KARTE HAIN...



Kitna pyaar karte hai..
Kaise batayein...
Tumse naa milne ka 
dard kaise dikhayein.
Yeh to dil ki gari 
Tik tik karti hai,
tume yaad karke
Saanse barti hai.
Nayano se chalakte 
aasanu kaise chupayein.
Tere bina shingar 
chehre ka fika sa hai.
Jis se aaina dekhte hi 
udaas ho jata hai.
Naa din mein chain hai, 
Naa raaton mein nindh.
Tere khayalon mein 
Khoye rahte hain har din.
Aajao ab aur naa tadpao
Mushkul hai jeena
ab ek pal tere bina.
Chura kar le gaye 
Mera sab kuch..
Ab khali ek matti ka
putla banke rehgaye hum.
Ab toh laut ke aajao,
Adhure hain hum tum bin.

Monday, April 25, 2011

Pal bhar bi yeh Naa socha





Pal bhar bi yeh
Naa socha ki hum kaise
Jee payenge unke bina.
Roz milne ka vaada tha, 
Woh tod kar
Durr chale diye
Naa jane kahan..
Ab sunni hai
Zindagi humari unke bina.
Ab humara bi dil 
 nahi lagta yahan.
Par hum ab unse ruthe kaise,
Woh toh yeh duniya chhor kar
Chal gaye kisi aur jahan..

Eh Dil Tere Bina....



Eh dil tere bina hum mar jate.
Tum naa hote toh hum kaun sangh 
Karte unki pyari pyari baatein.
Teri dhak dhak se chalti hai meri saansey.
Dekh na kitni khush hain yeh do aankhein .
Aaj in mein chhaayi hai shararat bari masti.
Dekh ke inko hoton per bi aayi hai hansi.
Waah re waah ah dil tum kitne pyare ho,
Dard ke jaam peekar gum ko chupate ho.
Isliye kehlate ho dil.. 
{dear -i- love}

Wednesday, April 20, 2011

TERE BINA.....



Tere bina pal bhar na reh patay
Tere bina kaise jee payenge,
Tumne socha he nahi.
Hum naa mile to
Tume koi gham hota nahi,
Yeh hum apne dil ko kaise
Samjayenge pata nahi.
Meri har khushi aur gham tumse hai.
Phir bi tu kyun bekhabar hai.
Bandh kar lenge in palkon ko,
Jaise aankhen tumhe dundhe nahi.
Per aansuo ko kaise rok payenge
Chhalak ne se pata nahi.
Tere bina hum akele hain,
Tume fikar hie nahi.
Kabhi tumne yeh socha ki
Tere bina meri zindagi hie nahi..

TERE NAYNA ..


Tere nayna mere nayno se
Baatein karte hain.
Esharon hie esharon se
Haal apna mere dil se
Bayaan karte hain..
Tere nayno ki
Shararat per fida
Hue mere nayan...
Ab toh inko dekhe
Baghar milta 
Nahi chain.
Jitna dekhe utni
Be-chaini badti jaye.
Phir bi kitni 
Khubsurati se yeh 
Sharmaaye,haaye haayee.

Sunday, April 17, 2011

Haathon ki lakiron...

Haathon ki lakiron,
Kis aur jaa rahi ho.
Kya mere liye koi
Khaas khabar lai ho.
Chal rahi ho 
Tadi medi si chaal,
Kar rahi ho ek dusre
Per chaukri ka vaar.
Kahin per khadi ho sidi si.
Kabhi kabhi ban jati ho
Alfazon ki surat bi.
Har jeevan ka raaz
Tujh mein chuppa hai.
Tujh mein bi badi
Chanchalta hai.
Laati ho khushi kum
Aur gham jyada.
Phir bi subah uthte hie
Tumhe yeh dil 
Sajda  karta hai.

MAYA KI NAGRI ..




Maya ki nagri mein,
Kyun lagaye tumne 
Itne chehre ke,
apna chehra hi bhool gaya..
Is daulat ke naam per
Kitne naam banaye,
abh apna naam hi bhool gaya...
Asliyat teri tu bhool gaya,
Phir auron se puchta hai kiya..
jo kamaya aaj is jagah par 
woh tere saath naa jayega..
Yeh hai maya ka jaal bas 
is mein phans ke reh jayega...
Yeh na bhool ke,
khali haath aaya tha,
ek din khali haath jayega..
is maya ki nagri se 
kuch na saath jayega..

Saturday, April 16, 2011

O RE MANNA ...


O re manna ab 
Tera kaun yahan,
Naa kar gham,
Yahan toh sab hain 
Deaf n dumb.
Koi nahi jane tujhe
Kyun tu soche 
Yahan koi  hai apna.
Yeh toh teri 
Nazaron ka dokha hai..
Dekh to le tujhe 
Nazar aata hai koi
Tere aage ya pichhe,
Fir kyun aaye ashq
Teri aankhon se..
Eh dil tu naa ho udaas 
Yahan toh sab 
Khelte hain, 
Khel kitne 
Dilon ke saath..
Kisi ko kisi se 
Nahi koi pyaar,
Chal re manna 
Abh nahi rahena .
Kaam kya hai
Hum jaison ka.
Bedardon ke
Mafil mein...

Thursday, April 14, 2011

APNA SHEESH NIMAATE HAIN...


Roz roz teri chaukhat per
apna sheesh nimaate hain.
Aake apna dard tujhko sunate hain.
Himaat haar kar phir laut jate hain.
Har subah nayi aas lekar
tere dhar par aate hain.
Abh toh jaago,kyun matti ke
putle bankar baithe ho.
Meri bi sunlo pukar 
o sare jagke paalan haar.
Insaan ko banake kya tum bi gaye haar.
Teri racchi hui khubsurat duniya mein 
kyun aa rahe hain aandhi aur toofan.
Jaago re jaago teen lokon ke maharajji.
Teri yeh zameen tera hai aasmaan.
Phir bi janu nahi tum ho kahan.
Mandir masjid ghirjaghar
mein saje hai tere naam.
Bhaat diye hain sab ne tujhko apne kaam.
Naa khel yeh shatranj ka khel,
naa bana mohre in insaano ko.
Aaj bi hai yeh kamjoor aur pareshaan.
O sari shrishti ke rachaita,
jaago re jaago eshwar allah..
Aaj bi japta hai har ek tero naam..

Wednesday, April 13, 2011

Tut gayi hai mala moti bikhar gaye.


Tut gayi hai mala moti bikhar gaye.
mehnga ho gaya jeena ab yeh insaan kya kare.
subah se sham do roti kapada aur makaan ke
naam daud raha apno ke liye.
hote jaa rahe hain durr apne, apno se jiske liye.
khwaishein ho gayi hain badi,
dil ke mahal chote hogaye.
farak aa gaya hai ab bahut sab mein,
jab sab mera mera karne lage..

EH DIL NAA KAR KISI SE..

Eh dil naa kar itna pyaar ke 
Woh banaye tera mazaak.
 khel raha hai woh tere jazbaaton se
aur samjhe na tera haal.
Tune pyaar pe barosa kiya
aur usne teri aankhon mein aansu de diya.
Eh dil usne chhini hai tere chehre ki hansi.
Ab kya soche yun hoke udaas si..
Kaha tha naa kar in par itna yakin
Aur naa hie in ki baaton par atibaar ab kabhi....



Tuesday, April 12, 2011

ZINDAGI BANDH PINJARE SE UDH CHALI...

Zindagi bandh pinjare se udh chali.
Aasmaan ko chhu ne aaj woh nikal padi.
Dekho to yeh apni manzil ko
Chord kar kis aur gayi.
Aaj ki is bhaag daud mein
Yeh bikhar si gayi.
Khuwabon ke mahal bunti armaano ki
Siri chad kar aaj dekho kider khadi.
Naa aankhon mein nindh hai,
Naa dil mein sukoon.
Phone ki ghantiyon ne
Loot liya hai chain.
Pal pal kis aur jaa rahi hai zindagi.
Apno ka aanchal chord kar
Akali hogayi hai zindagi..

Monday, April 11, 2011

ZINDAGI MUJHE HAR MORH..




Zindagi mujhe har mor per

Naya sabak sikhati aayi..
Par maine hie naa socha,
Yeh duniya itni harjaee hai.
Le lete hain fayda
Mere bolepan ka,
Kya yeh unki chaturai hai.
Afsos  hua dekh ke,
Ke yahan naa apna koi,
Sab yahan kasaai hain.
Khade hain qatl karne ke
Liye mere vishwas ka,
Dard hota hai dil mein jab yeh 
Apne banker karte hain apno se dokha.

Mujhe Yun Hie Chhor Kar...


Naa jaa mujhe yun hie chhor kar akela.
Thama mera haath saath chalne ke liye,
Fir aaj beech raah chhor diya kiske liye.
Yaad kar woh vaade aur kasme laut ke aaja.
Aaj bi mere zabaan par naam hai tera,
Dekh le is dil mein aaj bi tera hai chehra.
Sun to le mera dil kya kehta hai.
Tujhko hi chahaa jab se tumko dekha hai.

JANAAB...

Ghumsum se kyun ho aaj..
Chup chup se kyun baithe hain aap.
Udaas udaas sa chehra,
Kahan kho gaye ho janaab...
Kyun aankhen hain num
Kis baat ka hai gham,
Hoton per naa hansi hai,
Aur na khushi  ke rang..
Bikhre bikhre se baal,
Kya bana rakha hai apna haal.
Lagta hai sub kuch apna
Lootva ke aaye ho aaj.


DOST..


Dost kai hai mere,
per ek dost aisa hai..
Jo humse dur hai aaj..
Kahi baar bhulaya per
fir bi naa aaya woh,
ruth sa gaya hai
shayad kisi baat se.
Samajh mein nahi aata
kaise manaye usse..
Sau paigaam behje..
Ek ka bi jawab naa aaya.
Lagta hai meri dosti ka
rang hi kacha tha isliye
woh bichhar gaya humse..

Thursday, April 7, 2011

VAADA KARKE...


Milne ka vaada karke,
woh naa aaye mur ke.. 
Hum palkein bichhaye 
Baithe rahe unke intezaar mein.
Nazarein taakti reh gayi duwaar par,
Naa wo aaye, naa hie aayi unki koi khabar. 
Dil ki bechaini badti jaye
aankhen taras gayi unne dekhne ko ek jalak..

Tuesday, April 5, 2011

NAA JAO ITNI DUR..




Naa jao itni dur humse ke 
Hum mil naa sake, 
Teri judaai mein 
Hum jee bi naa sake..
Tujhse milne ki aas
Laker hum roj aate hain, 
Per tujhse mile bina 
niraash ho jate hain. 
Tere pyaar mein humne 
apna sab kuch khoya, 
Dard aur gham ko gale laga ke 
Yeh dil bahut roya. 
Aankhon se chalak gaye 
ashq toh sailaab aagaya 
per tujhko mera 
Khayal bi naa raha.

HAR ROZ.....


Har roz intezaar 

Karte rahe tumhara, 
Tum ho ke chhupa ke 
Baithe ho apna chehra. 
Nazrein meri 
Dundhti rahi tumhe, 
Tum ho ke chhup gaye ho 
Kisi ke nayno mein. 
Ab to aankhen bi aansuo se 
Ho gayi hai num. 
Dekh lo tumhare bin 
 kitne udaas hain hum.. 


Friday, April 1, 2011

TASVEEREIN


Tasveeron ko dekh kar 
Yaad aagaya beeta hua waqt.
Yaadein tazaa kar
Gaya gujra hua kal.
Main un tasveeron mein kho gayi.
Kabhi aayi hansi hoton per toh,
Kabhi aaye ashq aankhon se.
Kuch acchi yaadon ne
Behla diya dil mera.
Kho gayi un tasveeron mein.
Phir se ek umang uthi
Dil mein ke ab bi main hoon wohi.
Kyun na jee lun aaj main
Woh gujra hua kal.
Phir shayad aaye na aaye yeh pal.
Ek naya josh aaya phirse 
Khud ko us kal mein paya.
Jeene ki khushi aayi 
Hoton per laali chhayi.
Aankhen aaina 
Dekh kar sharmayi.
Wah kya nikhar kar tu
Tasveer se bahar aayi.
Jaise kali, phool banker aayi.
Waah re tasveer tune bi
Mujhe jeene ki raha sikhai.